Feeds:
Posts
Comments

Archive for August, 2022

Father’s day tribute

Neend Aati hai?

Pitaji kī uñglī thame

Holding my father’s finger

Nikle the hum park ki sair karne

We left to visit the park

Jab thake toh, Unke khandon par baite,

When tired, we would sit on his broad shoulders

unchayi ko bhi aazmaya,

and experienced heights too

Neend aayi toh, Apne masoom sa chehra liye

When sleepy, taking our innocent faces

apnī bholī-bhālī , kanchon jaisī ankhon se

and with innocent glassy eyes

woh duniyā dekhī jiske hum aaj kirdaar hain

we saw a world in which we are actors now

har apne bhole savaalon ka

to all my childish questions

Pitaji ne jhuk kar, sabr se jawab diya

Father would bend and give answers with patience

Hum ne unke kañdhe par sar rakkhā

After a while we rest our head on his broad shoulders

Pitaji ne pūchhā

Father asked-

neend aatī hai ?

Are you sleepy?”

—————–

Neend aati kyon nahin?

Ab khareeb pachpan saal beeth gaye,

Now, almost 55 years have passed

Jab is baar hum ghar kī jānib laute

This time, when I returned in the direction of my home

Door se wohi shaks, unke mote kanchon ki chasme se

Looking through his thick glasses, the person

Intazar ki ghadiyon ka nazar andaz karte, is door ke raahi ko

Without feeling the length of waiting, from afar

Paas aane ka ishara karte, aur kehne lagte

Made signs for me to come closer and said

Safar kaisi thi, khana khaya, tabyat theek hai?

How was the journey, did you eat, how is your health?

Aur haath apna bhadathe, ungli humari thame

And extending his hand, held my finger

humare kañdhe par sar rakkhā

Resting his head on my shoulders

Humne pūchhā

I asked-

neend aatī hai ?

”Are you sleepy?”

Pitaji ne aansu bhai aankhon se kaha

My father replied with his teary eyes

Aaj kal neeñd aatī kyon nahin ?

These days, why don’t I get any sleep?

Aaj kal neend aati kyon nahin?

These days, why don’t I get any sleep?

Read Full Post »

Read Full Post »

Read Full Post »

The Fountain Within

Read Full Post »